Tuesday, June 22, 2010

App ki Nawajisen........

Main to khakipa hun nahi koi danishmand,
Kisi ka dil chraunlun nahi itni hunarmand.

Ye to hai nawajishen aap ki jo jeet gai shagufta,
Aur de kar shkasht mehtab ko bhi hun purnoor dambadam.


Shagufta

Mohabbat...........

Koi haal sunata hai to koi hale dil sunta hai,
Guzarti hai jis par woh ghameghusar sunata hai.

Abhi to ye mohabbat ki shuruwat hai janab,
Inhi marhalon se guzar kar ishq irfan kahlata hai.

Shagufta

zinda rahne ki talab

Mushkil hai apni taqdir se ladpana
Bechainiyon ko un pal pal daban,

sukun gar bikta ho duniyawi bazar me
kharid kar mujh bekara ko bhi pilana,

kahte hai sab mujhse diwangi ka sab tu hai
koi is diwani ko bhi diwangi se milana,

apni kashti dub chuki hai mazdhar-e-samandar me
koi is bethah samandar ko bhi yad dilana.

dil ki Zuban se

Kya kahun main is dil ki Zuban se
badi majbur hun is dil ki Zuban se,
Be waqt ye chalti hai apni raftar se
be waqt ye ruqti hai apni raftar se.